Monday, February 11, 2019

Khoya Paaya


Teri wafa ke badle mein sirf bewafayee di hai,
Teri surkh aankhon ko sirf nami di hai,
Tere gaalon ki laali chheen ke,
Tere chehre pe sirf ghami di hai...

Tera koi dosh nahin,
Sab mera kiya karaya hai,
Kal tak jo tu apna tha,
Aaj meri hi karni se paraya hai...

Aaj, akele mein rota hoon,
Tadap tadap ke sota hoon,
Tujhe roz waapis paane ki chah mein,
Thodha thoda roz khota hoon.

Ek din bhi aayega,
Jab sitaron ki saazish hogi,
Jab tu aur main milenge,
Aur in aankhon se khushiyon ki baarish hogi...

Us din tak tera intezaar karoonga,
Aur tinka tinka karke roz maroonga,
Ke ek din tu amrit pilayegi,
Aur us din tujhse saare jahan ka pyaar karoonga...

Thursday, June 11, 2015

Ummeed

Tere jaane ke baad, teri yaad ke daaman se lipat ke ro lete hain,
Jab dil takleef dene lage, toh usi daaman ko odh kar so lete hain.
Tere waapis aane ki ummeed mein zinda hain hum abhi,
Tujhse bichhadhne wale, maut ke aagosh mein khud ko kho lete hain.

Teri kisi ummeed pe, hum khare na utar sake,
Tere jaane ke gham mein, na jee sake, na mar sake.
Tujhe jitni jaldi paaya tha, utni jald kho bhi diya,
Aur issi udhedh bun mein ek vaada bhi poora na kar sake.

Ab aalam yeh hai ki din mein bechaini hai aur raat mein ghamon ka sahara hai,
Jitna pasand kal tha, tera saath aaj bhi utna hi pyaara hai.
Teri raahon mein aaj bhi diya leke khade hain hum,
Kyunki, waapsi ki raahon mein andhera bahut saara hai.

Aaj bhi bharosa hai, shayad tu laut ke aayegi,
Aur dil ki khaali jagah, shayad phir se bhar jaayegi.
Darkhwast hai ki ab aane mein aur der na karna,
Warna yeh kaali andheri raat phir rote rote kat jaayegi...


Saturday, June 6, 2015

Saath

Mere pyaar ke jawab mein, tera khamosh ho jaana.
Mera tujhe choomne par, tera muskura ke sharma jaana.
Teri aakhon Ki gehraai mein, mera har pal doob jaana.
Teri chahat ke bharose, mera mujhko hi chahna.

Bhoole nahin hain uss manzar ko, jab zindagi mein tu aayee thi.
Ki har aane wali hawa, sirf khushiyan saath laayee thi.
In sab ke darmiyaan, ek saaya tha, ek parchhaai thi.
Ki chand lamho baad hi iss rishtey mein judaai thi.

Ki khaak hue the sapne, aur door hue the apne.
Aur beech raah mein hi haath chhodhe the sabne.

Aaj akele hain, tanha hain par Teri raah nahin aana.
Uss Chand dino ke saath mein humne bhi jiya ek zamaana.
Khushi mein, gham mein, bhale hi paas na aana.
Bas ek guzarish rahegi Ki jab zindagi saath chhodhe, sirf ek baar tum saath nibhana.

Friday, June 5, 2015

Mannat

Woh sham hote hi uska nikalna, mera chaand hai woh,
Mera yaar, mera pyaar, meri bhavnao ka baandh hai woh.
Mere sapno ko udaan dene, mere kareeb woh aaya hai,
Bahut mannato aur intezaar ke baad, maine use paaya hai.

Woh raat bhar ki baatein, kuchh nazdikiyon ka ehsaas tha,
Aur jisko main chahne laga tha, antatah woh mere paas tha.
Uska dard, uski khushi, ban gayee hai meri zindagi,
Uski aankh ki chamak, uski muskurahat, ban gayee hai meri bandagi.

Aaj,uske dard ka kaaran hoon main, yeh rishta aaj shayad uski koi majboori hai,
Kal jitni nazdikiyan thi, rishta tha, aaj utni hi doori hai.
Meri galtiyon ko nazarandaaz kar, uska muskurana bhi ek adaa hai,
Usko meri aas nahin shayad par mujhe uski zaroorat zyaada hai.

Shayad ek shaam aaye, jab woh chaand phir nikle,
Shayad ek pal aaye, jab uska dil mere liye pighle.
Aaj bhi uski muskurahat, dil mein ghar kar jaati hai,
Aur uski ek shikayat, dil mein aansoo bhar jaati hai.

Tayyar kar raha hoon khud ko, ki usko aur dard na doon,
Haar jis din maan loon, tabse usse juda rahoon.
Uske dil mein kya hai, yeh aaj bhi samajh na aaya hai,
Bahut mannato aur intezaar ke baad, maine use paaya hai.

Monday, December 10, 2012

Intezaar


Ghar ki chhat pe, woh khadi hoti khil khilati hui,
Panghat pe woh jaati thi apni paayal chhankaati hui,
Sharmili si, ithlaati si, ghoongat mein woh rehti thi,
Uski awaaz mein jaise koyal kahin pe chehki thi.
Uske deedaar ka har koi deewana tha,
Woh meri kshama thi, main uska parwana tha.
Uski ek jhalak pe chaand bhi ghat jaata tha,
Magar woh bhi uske deedaar ko roz chhat pe aata tha.
Taaron ki bheeni chhaon mein woh nange paaon chalti thi,
Uski isi ada ko dekh, saari duniya usse jalti thi.

Mere liye woh sadaa se hi prem ki jaagti murat thi,
Aur suraj se zyaada tej liye, uski bholi surat thi
Woh kehti, “Mujhse na khel, main aag hoon tu jal jaayega.”
Main kehta, “Nahin kheloonga, teri aas mein hi yeh jeevan dhal jaayega.”
Woh meri baton ko aksar hans kar taal jaaya karti hi,
Phir bhi har do rahe pe mujhko hi paaya karti thi.
Kasam thi, uska saath kabhi na chhodh ke jaane ki,
Kasam thi har raah pe uska saath nibhane ki.

Main moorakh, us murat ko kabhi bhi na samajh paaya,
Aur jaane anjaane mein uska dil hi todh aaya.
Jab hosh aaya toh samajh aaya ki wahi toh parikhsha ki ghadi thi,
Palat ke wapas dekha toh woh aaj bhi wahin khadi thi
Mujhe laga ki na maine koi kasam khai na kabhi use nibhaya,
Magar main akela na reh jaaoon, isliye woh bhi saath chala aaya.
Aaj bhi uske khyaal se dil bharta hai, aankein barasti hain,
Par aaj bhi meera sirf krishan ke darshan ko tarasti hai
Aaj bhi tasalli hai ki uski ek jhalak mil jaayegi,
Aur aaj bhi dil manta hai ki woh waapis aayegi…


Saturday, December 8, 2012

Waapsi ki Raah


Uss Shaam Ki nami ke sookhne par, ek sunehri subah aayee thi.
Uss sard subah ki ek hawa uska Sandesa layee thi.
Uss khat Ko haath mein Thaame, din dhalne tak main roya tha.
Ki uske aane Ki Khabar thi, jisko Maine kabhi khoya tha.

Woh wapis mujh Tak aaya tha, mere ek Bulawe pe.
Aur Mujhe usne nikaala tha apne hi bhulaawe se.
Woh babool kat chuka tha jisko Maine boya tha.
Ki uske aane Ki Khabar thi, jisko Maine kabhi khoya tha.

Woh naraaz tha, khafa tha, aur sazaa dene Ko tayaar tha.
Maine Nazar bhar ke dekha usse, Wahi toh mera yaar tha.
Apni sab gustaakhiyon Ko Maine aansuon mein duboya tha.
Ki uske aane Ki Khabar thi, jisko Maine kabhi khoya tha.

Ki jiske aane Ki Khabar thi, Wahi Aaj aaya hai.
Aur Meri Nazar mein Koi dekhe, sirf uska noor samaya hai.
Ab shikva nahin zindagi se, ab Wahi mera sarmaya hai.
Ki jisko kabhi khoya tha, Aaj phir usse paaya hai.

Tuesday, June 28, 2011

Dramatic Indian Life

Laal suraj ko samandar mein khote dekha hai,
logon ko nafrat ke beej bote dekha hai,
Maut ke ehsaas se unchhuye hain hum abhi,
Magar zindagi ko khauf mein rote dekha hai...

Badhavaas hoke jab dard ki hawa chali,
Khoon se maang bhar ro rahi thi har gali,
Uss khaufnaak manzar mein bhi humne,
Zindagi ko maut se lipat kar sote dekha hai...

Dard ki chhekhein uthi, phir samaa shaant ho gaya,
Yun laga ki roshni ko andhere mein khote dekha hai...

Darr ka woh ek saaya tha,
Kan-kan mein jo samaya tha,
Tam ke iss saamrajya ka,
Jaise samraat naya aaya tha...

Iss taj-takht ke darmiyaan,
Khuda ko bechain hote dekha hai,
Maut ke ehsaas se unchhuye hain hum nahin,
Aur zindagi ko khauf mein hum sabne rote dekha hai...