Thursday, June 11, 2015

Ummeed

Tere jaane ke baad, teri yaad ke daaman se lipat ke ro lete hain,
Jab dil takleef dene lage, toh usi daaman ko odh kar so lete hain.
Tere waapis aane ki ummeed mein zinda hain hum abhi,
Tujhse bichhadhne wale, maut ke aagosh mein khud ko kho lete hain.

Teri kisi ummeed pe, hum khare na utar sake,
Tere jaane ke gham mein, na jee sake, na mar sake.
Tujhe jitni jaldi paaya tha, utni jald kho bhi diya,
Aur issi udhedh bun mein ek vaada bhi poora na kar sake.

Ab aalam yeh hai ki din mein bechaini hai aur raat mein ghamon ka sahara hai,
Jitna pasand kal tha, tera saath aaj bhi utna hi pyaara hai.
Teri raahon mein aaj bhi diya leke khade hain hum,
Kyunki, waapsi ki raahon mein andhera bahut saara hai.

Aaj bhi bharosa hai, shayad tu laut ke aayegi,
Aur dil ki khaali jagah, shayad phir se bhar jaayegi.
Darkhwast hai ki ab aane mein aur der na karna,
Warna yeh kaali andheri raat phir rote rote kat jaayegi...


Saturday, June 6, 2015

Saath

Mere pyaar ke jawab mein, tera khamosh ho jaana.
Mera tujhe choomne par, tera muskura ke sharma jaana.
Teri aakhon Ki gehraai mein, mera har pal doob jaana.
Teri chahat ke bharose, mera mujhko hi chahna.

Bhoole nahin hain uss manzar ko, jab zindagi mein tu aayee thi.
Ki har aane wali hawa, sirf khushiyan saath laayee thi.
In sab ke darmiyaan, ek saaya tha, ek parchhaai thi.
Ki chand lamho baad hi iss rishtey mein judaai thi.

Ki khaak hue the sapne, aur door hue the apne.
Aur beech raah mein hi haath chhodhe the sabne.

Aaj akele hain, tanha hain par Teri raah nahin aana.
Uss Chand dino ke saath mein humne bhi jiya ek zamaana.
Khushi mein, gham mein, bhale hi paas na aana.
Bas ek guzarish rahegi Ki jab zindagi saath chhodhe, sirf ek baar tum saath nibhana.

Friday, June 5, 2015

Mannat

Woh sham hote hi uska nikalna, mera chaand hai woh,
Mera yaar, mera pyaar, meri bhavnao ka baandh hai woh.
Mere sapno ko udaan dene, mere kareeb woh aaya hai,
Bahut mannato aur intezaar ke baad, maine use paaya hai.

Woh raat bhar ki baatein, kuchh nazdikiyon ka ehsaas tha,
Aur jisko main chahne laga tha, antatah woh mere paas tha.
Uska dard, uski khushi, ban gayee hai meri zindagi,
Uski aankh ki chamak, uski muskurahat, ban gayee hai meri bandagi.

Aaj,uske dard ka kaaran hoon main, yeh rishta aaj shayad uski koi majboori hai,
Kal jitni nazdikiyan thi, rishta tha, aaj utni hi doori hai.
Meri galtiyon ko nazarandaaz kar, uska muskurana bhi ek adaa hai,
Usko meri aas nahin shayad par mujhe uski zaroorat zyaada hai.

Shayad ek shaam aaye, jab woh chaand phir nikle,
Shayad ek pal aaye, jab uska dil mere liye pighle.
Aaj bhi uski muskurahat, dil mein ghar kar jaati hai,
Aur uski ek shikayat, dil mein aansoo bhar jaati hai.

Tayyar kar raha hoon khud ko, ki usko aur dard na doon,
Haar jis din maan loon, tabse usse juda rahoon.
Uske dil mein kya hai, yeh aaj bhi samajh na aaya hai,
Bahut mannato aur intezaar ke baad, maine use paaya hai.