Mere pyaar ke jawab
mein, tera khamosh ho jaana.
Mera tujhe choomne
par, tera muskura ke sharma jaana.
Teri aakhon Ki
gehraai mein, mera har pal doob jaana.
Teri chahat ke
bharose, mera mujhko hi chahna.
Bhoole nahin hain uss
manzar ko, jab zindagi mein tu aayee thi.
Ki har aane wali
hawa, sirf khushiyan saath laayee thi.
In sab ke darmiyaan,
ek saaya tha, ek parchhaai thi.
Ki chand lamho baad
hi iss rishtey mein judaai thi.
Ki khaak hue the
sapne, aur door hue the apne.
Aur beech raah mein
hi haath chhodhe the sabne.
Aaj akele hain, tanha
hain par Teri raah nahin aana.
Uss Chand dino ke
saath mein humne bhi jiya ek zamaana.
Khushi mein, gham
mein, bhale hi paas na aana.
Bas ek guzarish
rahegi Ki jab zindagi saath chhodhe, sirf ek baar tum saath nibhana.
No comments:
Post a Comment