Ghar ki chhat pe, woh khadi hoti khil khilati hui,
Panghat pe woh jaati thi apni paayal chhankaati hui,
Sharmili si, ithlaati si, ghoongat mein woh rehti thi,
Uski awaaz mein jaise koyal kahin pe chehki thi.
Uske deedaar ka har koi deewana tha,
Woh meri kshama thi, main uska parwana tha.
Uski ek jhalak pe chaand bhi ghat jaata tha,
Magar woh bhi uske deedaar ko roz chhat pe aata tha.
Taaron ki bheeni chhaon mein woh nange paaon chalti thi,
Uski isi ada ko dekh, saari duniya usse jalti thi.
Mere liye woh sadaa se hi prem ki jaagti murat thi,
Aur suraj se zyaada tej liye, uski bholi surat thi
Woh kehti, “Mujhse na khel, main aag hoon tu jal jaayega.”
Main kehta, “Nahin kheloonga, teri aas mein hi yeh jeevan
dhal jaayega.”
Woh meri baton ko aksar hans kar taal jaaya karti hi,
Phir bhi har do rahe pe mujhko hi paaya karti thi.
Kasam thi, uska saath kabhi na chhodh ke jaane ki,
Kasam thi har raah pe uska saath nibhane ki.
Main moorakh, us murat ko kabhi bhi na samajh paaya,
Aur jaane anjaane mein uska dil hi todh aaya.
Jab hosh aaya toh samajh aaya ki wahi toh parikhsha ki ghadi
thi,
Palat ke wapas dekha toh woh aaj bhi wahin khadi thi
Mujhe laga ki na maine koi kasam khai na kabhi use nibhaya,
Magar main akela na reh jaaoon, isliye woh bhi saath chala
aaya.
Aaj bhi uske khyaal se dil bharta hai, aankein barasti hain,
Par aaj bhi meera sirf krishan ke darshan ko tarasti hai
Aaj bhi tasalli hai ki uski ek jhalak mil jaayegi,
Aur aaj bhi dil manta hai ki woh waapis aayegi…
No comments:
Post a Comment