Laal suraj ko samandar mein khote dekha hai,
logon ko nafrat ke beej bote dekha hai,
Maut ke ehsaas se unchhuye hain hum abhi,
Magar zindagi ko khauf mein rote dekha hai...
Badhavaas hoke jab dard ki hawa chali,
Khoon se maang bhar ro rahi thi har gali,
Uss khaufnaak manzar mein bhi humne,
Zindagi ko maut se lipat kar sote dekha hai...
Dard ki chhekhein uthi, phir samaa shaant ho gaya,
Yun laga ki roshni ko andhere mein khote dekha hai...
Darr ka woh ek saaya tha,
Kan-kan mein jo samaya tha,
Tam ke iss saamrajya ka,
Jaise samraat naya aaya tha...
Iss taj-takht ke darmiyaan,
Khuda ko bechain hote dekha hai,
Maut ke ehsaas se unchhuye hain hum nahin,
Aur zindagi ko khauf mein hum sabne rote dekha hai...